Friday, February 27, 2026

TASKHEER HAMZAD KA EK AASAN BEZARR AMAL :

 



Hamzad Kya Hota Hai? Hamzad Ki Haqeeqat, Amal HAMZAD aur Zaroori Tanbeeh

Bohat se log internet par “hamzad kya hota hai” aur “hamzad hasil karne ka tareeqa” search karte hain. Lekin haqeeqat ye hai ke hamzad ka ilm koi khel ya tajurba karne wali cheez nahi hai. Ye roohani fan hai jiske apne qawaed o qawaneen hote hain.

Har shakhs hamzad ko taskheer nahi kar sakta. Kai log saalon ki mehnat ke baad bhi kamyab nahi hote, aur kai log khauf, zehni dabao ya roohani dabav bardasht na kar pane ki wajah se nuqsan utha baithte hain. Isliye sabse pehli baat samajh len — hamzad ke liye sahih rehnumayi zaroori hai, aur rehnuma bhi woh jo khud is amal se guzra ho.


Hamzad Ki Haqeeqat

Hamzad kisi ko seedha nuqsan nahi pahunchata. Lekin wo darata hai, aazmaish karta hai, aur mukhtalif hile istemal karta hai taake khud ko taskheer hone se bacha sake.

Agar amil khud dar jaye ya khauf kha jaye to zehni ya jismani nuqsan ka andesha hota hai. Isi wajah se main aise aamal aam tor par na likhta hoon aur na kisi ko bina tayyari ke karwata hoon.

Hamzad ko hasil karna ek zimmedari hai — aur usko sambhalna us se bhi badi zimmedari.


Kya Har Insan Hamzad Ko Taskheer Kar Sakta Hai?

Ye sawal aksar poocha jata hai:
“Kya har shakhs hamzad hasil kar sakta hai?”

Jawab seedha hai:
Nahi.

Ye Allah ki makhfi makhlooq me se hai. Kya har ahal aur na ahal shakhs isay sirf chand din ki mashq se taskheer kar lega? Bilkul nahi.

Is fan me:

  • Sabr

  • Zehni yaksooi

  • Roohani quwwat

  • Aur rehnumayi

sab zaroori hoti hain.


Lalach Aur Hamzad – Bari Ghalat Fehmi

Mujhe aksar log mail ya message karte hain jo maali masael me phanse hote hain. Wo kehte hain:

“Aap hamzad ya kisi makhlooq ko tabay kara dein, hum itna hadiya denge.”

Yahan ek baat wazeh kar doon —aese logo ka zahan hota hain hamzad taskheer kar ham apnay maali masael ka hal karlaengay aur aesi lalach may kai log juthe amilo k shikar bante aaye hain.ek bat yad rakhiye..
Rizq Allah ke haath me hai. aapko apki kismat ka jo hain jitna hain utna milaega hi koi makhlooq hamzad pari jinnat aapki kismat say ziada nahi de dega wo kudrat sirf o sirf Allah ki hain.wo har shay par qadir hain.

Agar hamzad hasil karne se daulat milti hoti to har amil crorepati hota. Bangla, gariyan sab ke paas hoti.

Rizq Loh-e-Mahfooz me likha ja chuka hai. Koi makhlooq use badal nahi sakti. Haan, kuch asbab aur aasaniyan ho sakti hain — lekin ghalati ki surat me saza bhi hoti hai.

Isliye duniya ki lalach aur noorani amal ek sath nahi chalte.


Hamzad Ka Amal (Sirf Ijazat Ke Sath)

Yahan jo tareeqa likha ja raha hai wo tasawwur ki mashq par mabni hai. Lekin wazeh kar doon — bina ijazat ke na karein.

Ijazat mujh se lein ya kisi kamil peer, ustad ya tajurba kar amil se lein.

Zaroori Ashya:

  • Tanha kamra

  • Bara aaina (sar se paon tak aks nazar aaye)

  • Charpayi

Tareeqa:

  1. Bawuzu kamre me dakhil hon.

  2. Aaine ke samne itni dur kharay hon ke pura jism nazar aaye.

  3. 10-15 minute tak apne aks ko gaur se dekhen.

  4. Phir charpayi par seedha let kar aankhen band karein.

  5. Apne usi aks ko tasawwur me dekhen.

  6. Khayal karein ke aapka hamzad aapke samne dast-ba-dast khara hai.

Phir uth kar dobara aaine me dekhein.
Kuch minute dono bhaon (eyebrows) ke darmiyan nazar jama kar bagair palak jhapkaye dekhein.

Thakan ho to phir let kar tasawwur karein.

Is amal me koi wazifa nahi — ye sirf tasawwur ki mashq hai.


Kitni Muddat Karein?

Is amal ki koi fixed muddat nahi. Har shakhs ki roohani salahiyat mukhtalif hoti hai.

Lekin kam az kam 40 din lagataar mashq karein.

Aksar log chand dino me band aankhon se dhundhli si soorat dekhna shuru kar dete hain. Mashq barhane se tasawwur saaf hota jata hai.


Zaroori Tanbeeh

Hamzad hazir ho jaye to us se ahad (muaahida) lena sabse nazuk marhala hota hai.

Wo chalak hai. Taskheer nahi hona chahta. Aisi shart rakh sakta hai jo aapko hi uska paband bana de.

Isliye rehnumayi zaroori hai.


Behtar Rasta Kya Hai?

Agar aapko waqai roohaniyat ka shauq hai to:

  • Idhar udhar se amal utha kar tajurba na karein

  • Kisi ustad ki nigrani me ilm hasil karein

  • Qawaed o qawaneen seekhein

  • Phir amal karein

Yun aapki mehnat zaya nahi hogi aur kamyabi ke imkaan barh jayenge.


Aakhri Baat

Hamzad aur taskheer-e-arwah ek fan hai. Isko seekhna zaroori hai, samajhna zaroori hai. Sirf shauq ya lalach me qadam uthana nuqsan de sakta hai.

Agar niyyat khidmat-e-khalq aur roohani taraqqi ki ho, to Allah kamyabi deta hai.
Magar duniya ki lalach aur noorani amal sath nahi chalte.

Rohani Amliyat Course

Ilm, Rehnumayi aur Zimmedari Ke Sath

Aaj kal internet par roohani aamal har jagah mil jate hain. Lekin har amal har shakhs ke liye nahi hota. Ilm sirf kitab se nahi, rehnumayi se hasil hota hai.

Rohaniyat ek fan hai.
Iske qawaed hote hain. Iski sharaet hoti hain. Aur sabse zaroori — isme zimmedari hoti hai.

Isi zaroorat ko samajhte hue, hum ne ek Rohani Amliyat Course tayar kiya hai — jahan aapko sirf aamal nahi, balke unke peeche ka usool sikhaya jata hai.


📘 Course Me Kya Sikhaya Jata Hai?

Ye course sirf wazifa ya chilla tak mehdood nahi. Yahan bunyadi ilm se le kar amli samajh tak rehnumayi di jati hai.

Course ke topics me shamil hain:

  • Sharaet aur Qawaneen e Amliyat

  • Chilla aur Zakat ka Sahih Tasawwur

  • Ilm ul Huroof

  • Ilm ul Adaad

  • Ilm ul Asma

  • Ilm ul Nujum ka Bunyadi Ta’aruf

  • Ilm ul Jafar ka Ibtidai Dars

  • Tashkhees aur Roohani Ilaj ke Usool

  • Haziraat aur Taskheer ka Ilmi Pehlu

Har topic me pehle samajh, phir ehtiyaat, phir amal sikhaya jata hai.


⚖ Ye Course Kin Logon Ke Liye Hai?

✔ Jo roohaniyat ko serious lena chahte hain
✔ Jo bina rehnumayi ke tajurba kar ke nuqsan nahi uthana chahte
✔ Jo ilm hasil kar ke zimmedari ke sath amal karna chahte hain
✔ Jo sirf lalach nahi, balke samajh aur rehnumayi chahte hain

Ye course un logon ke liye nahi jo sirf jaldi faida ya daulat ke liye aate hain.


🌿 Hamara Usool

  • Har amal har shakhs ko nahi diya jata

  • Pehle salahiyat dekhi jati hai

  • Ijazat aur rehnumayi ke bagair koi nazuk amal nahi diya jata

  • Nakami ki surat me nuqsan ka andesha na ho — is baat ka khayal rakha jata hai

Rohaniyat me jaldi nahi hoti. Sabr, adab aur ikhlaas hota hai.


💬 Course Ka Nizam

Ye paid course hai.
Har student se bunyadi maloomat li jati hai:

  • Naam

  • Birthdate

  • City / Country

  • Email ID

  • Facebook ID

Iska maqsad sirf record nahi, balke behtar rehnumayi hota hai.


📩 Kaise Join Karein?

Agar aap waqai roohani ilm seekhna chahte hain aur zimmedari ke sath qadam rakhna chahte hain, to apni detail send karein:

📧 Email: haziraat92@gmail.com
📘 Facebook: facebook.com/amil.samarali

Aapko aage ka process samjha diya jayega.


🌙 Aakhri Baat

Rohaniyat khud ko pehchanne ka safar hai.
Ye shortcut ka rasta nahi.

Agar niyyat saaf ho, rehnumayi sahi ho, aur sabr sath ho — to ilm apne asar dikhata hai.

Allah hum sab ko sahih samajh aur hikmat ata farmaye.

Wednesday, December 18, 2024

EK JINNATI GHAR KI MERI MULAKAT :

 


Waisay to mainay apni digar mashruffat k sabb dur daraaz kisi mariz ko dekhnay jana ya kisi jagah k masael k  hal k liye jana band kar diya hain aur makami elaj bhi bahot kam kar raha hu.ha, meray kuch makami dost jo mujsay ye rohani elm hasil kar chukay hain wo kartay hain aur zarooratan usko mashwarah zaroor de deta hu.

Ab ek meray dost k rishtedar k ghar may kuch rohani masael ho rahay thay.mera dost mujay kai martba wahan lekar janay ko bol rahay thay lekin main wahan kisi sabb ja hi na paraha tha.ye jo hamaray dost hain wo hamaray es rohani mission may ek aham khidmat bhi kar rahay hain to wo meri kuch majburiya bhi jantay thay.ab huva yun ki hamay kisi kam say sath may usi shehar may jana hova jahan uskay rishtedar ka ghar tha.to hamnay pahlay hi programe kar liya aur bata diya ki ham wahan par aaj aarahay hain.shehar may hamara kam khatm karkay ham janay k liye niklay to mainay pahlay meray aziz dost ko bataya ki aap mujay kisi karibi masjid may pahlay lay jaen.ham masjid gaye wuzu kar mainay apna mamool k mutabiq istakhara kiya to mujay maloom huva ki us jagah par bahot qawee qism k jinnato ka basera hain.mainay apna ahtiyat kiya aur phir wahan janay ko niklay.

Makaan bahot barha tha jaisay koi haweli ho aur usmay 4 bhai unki biwiya aur bachay aur ek ma rah rahay thay.mainay unkay munh say sab  waqiyat sunay aur usmay ye bhi maloom huva ki unhonay ye makaan kafi waqt say band tha wo kharida hain aur karib 3 saal say hi ye log purana apna makaan bech kar ye kharida hain.unkay walid jab so rahay thay to unko rat ko koi utha kar bola tha ki es jagah mat soya karo ye hamara aanay janay ka rasta hain.to unkay walid dusri jagah uth kar so gaye.ab kuch din bad dubara unko jagaya aur bolay ki tum meray liye itr le kar aana aur yahan rakh dena main tumhay maala maal kardunga lekin unkay walid nay aesa nahi kiya to dusray din phir bola gaya lekin unkay walid nay amal nahi kiya to kuch rat unko kuch aawaz na aayi na khwab aaya phir ek din wo so rahay thay to unko kisi nay utha kar nichay phenk diya jissay unkay paer ki haddi toot gayi aur operation huva aur phir usnay apni biwi aur bacho ko bataya ki uskay sath aesa huva hain.tab unkay bacho nay kai amil ko bulaya dismay kai amil to bataya ki ghar may dakhi hotay hi kuch kiye bagair chalay gaye aur ju ju elaj kiya to ghar may masael barh gaye aur tangi ka samna honay laga.aur ek mahinay may hi unkay walid ka inteqal ho gaya.

Mainay bataya ki pahlay ghar may jo bhi naqsh kisi amil nay diya hain wo sab nikal kar meray samnay rakh dijye.kilay ho ya koi bhi chiz ho.

To un logo nay taweez aur kuch chizay kilay aur na janay kiya kiya nikal kar rakha,jismay har tarha k taweezat thay aur islami gair islami tilismat jadu ka elaj sab tha.

Mainay kaha ki jo aapmay say darta na ho wo meray sath rahay.unmay say ek bhai meray sath aanay ko taiyyar huva aur ham upar k unkay walid k kamray may gaye aur wahan baithay thodi der bad ye huva ki mukhtalif color k billiya billay kamray may aanay lagay koi window say aaye to koi palang k nichay say niklay aur samnay baith gaye.unbiliyo may aksar biliya jo deshi biliya hoti hain aesay rango ki thi lekin unkay sar thoday barhay thay.aur un sab ki shakal jaisay koi rota huva insan ho aesi nazar aarahi thi.thodi der wo hamaray samnay baithay aur phir chalay gaye.

Main aur wo bhai bhi phir nichay aagaye aur phir mainay unsab say bat ki aur bataya ki wo yahan es makan bannnay say pahlay kai sau saalo say mukim hain aur ye kahn nahi janay walay hain kiyu k usnay nahi ham insano nay unkay rahaesh par qabza kiya huva hain.lekin wo chahtay hain ki aap bhi rahay wo bhi rahaengay lekin unko wo upar ki jagah de do upar 3 kamray thay jismay do kamray ek dusray k sath tha ek thoda alag banaya huva tha.wo do kamra agar wo chhorh day to aapko koi nuqsan nahi hoga.dono kamro may taalay laga day aur kabhi kabhi wahan sirf koi pak saaf halat may loban kar paen to karay lekin wo koi namaz ka waqt na ho uska khyal rakhna hoga.aur ye khas sharaet nahi lekin agar kar paen to faeda hoga.

Wo log kuch sochnay k bad taiyyar ho gaye aur phir chaye pani liya aur nikal gaye aur wo log itnay khush huvay ki koi inteha nahi aur duayen de rahay thay.

Ye mas’ala bagair kisi naqsh taweez ya parhayi k hal huva hain aur ummid hain ki aagay bhi koi mas’ala nahi hoga.us ghar may muslim jinn ki family thi aur wo kafi namaz azqar k aadi thay aur unko ye ghar walay aur essay pahlay rahnay walay bahot khalal pahocha rahay thay phir bhi wo sabr say kam lay rahay thay lekin jab us ghar may walid sahib nay ek kamray may chota bathroom banaya taki rat ko istinja karnay nichay na jana parhay aur wahin karlay.esi say wo bahot jinnat naraz huvay aur unkay walid ko nuqsan pahochaya.

Rohani Amliyat Course: Jo Hazraat Rohani Amliyat Course Karna Chahtay Hain Wo Apni DeTail Name Birthdate City Country mail id aur facebook id send karay. Paid course hain. Course me Rohaniyat, Sharaeet w qawaneen e amaliyat w Chilla zakwat,ilm ul huroof,ilmul aadad ilmul najoom,ilmul jafar , ilmul asma,haziraat,taskheer,tashkhees w elaj amraz sikhaya jata hain. haziraat92@gmail.com facebook.com/amil.samarali

ROHANI ITEMS KO KHARIDNAY K LIYE MERAY ES BLOG KI VISIT KARAY..!

https://spiritualawarestore.blogspot.com/


Thursday, August 1, 2024

TASKHEER HAMZAD BATNI : mujarrib

 


waisay hamzad ki taskheer karna koi aasan kam nahi aur shayeqino nay eskay liye apni puri puri zindagi kharch kardi aur kisi ko hath laga kisi ko deedar tak nahi huva.aaj bhi log es taqt ko hasil karnay k liye apni zindagi daav par laga rahay hain.

mujay to murshid k karam say apni auqat say ziada ata kiya gaya hain.aur main ab aesi chizo ko paida karnay wali zat ki taraf rujoo kar raha hu.jo qadir e mutlaq hain aur har shay par galib hain.

yahan main aapko ek tarjoba shuda  amal hamzad bata raha hun.jissay aap ahsaas kar paengay ki ye quwwat es duniya may maujood  hain aur essay kam liye ja saktay hain.

hamzad k liye sab say pahlay kai aesay qawaed hain ki jisko ba mushkil anjam diya ja sakta hain.

yahan shart sirf itni hain ki insan ka pura jism nuks say khali ho aur bimar na ho.nazar kamzor na ho.

esko har mazhab ka insan kar sakta hain.

TAREEQA yun hain ki kisi bhi din say shuru karay aapki marzi lekin niyyat karlay ki main hamzad ki batni taskheer chahta hu,waisay esko taskheer ka nam to nahi day saktay hain ek tarha ki dosti kah saktay hain.essay aapkay bas may to nahi hota lekin dostana talooq say aapkay kam ko anjam deta hain.

aapko karna yun hain ki jab bhi koi bhi chota mota kam karay sirf ye bolay ki chalo fulan ham ye kam kartay hain.

jaisay aapka nam Samar hain to aap kahaengay ki chalo Samar ab brush kartay hain,chalo Samar ab gusal kartay hain. chalo samar nashta kartay hain.chalo Samar ab factory par jatay hain.chalo Samar ab ye deal kartay hain....

garz ki aap har chotay motay kam may usko sath chalnay ko shamil karnay ko kaha karay.jab khana khaye to bhi bolay aur pani piye to bhi bolay ab yahan agar aap har bar khana ek lukma aur ek do bund pani alag rakh saktay hain.yad rahaega bhulaega nahi to yun karay warna sirf khana khaye pani piye itna kah liya karay.agar lukma dena aur pani ki bund ya ghunt dena shuru karay aur kabh bhul jaengay to mumkin hain amal batil ho jaega.esliye agar kar skatay hain to karay warna sirf jo kam bolna hain sath may karnay ka wo boltay jaen.wuzu karnay namaz parhnay tilawat karnay wazaef karnay may bhi shamil karay essay aapko nek hamzad ka sath milaega.

ab kuch din may aapko ahsas hoga ki aapkay sath sath koi shay hain khwab may bhi aana shuru hoga.sachay khwab bhi aaengay.lekin kitnay dino may aaengay ye har ek k liye muddat alag ho sakti hain.kiyu k har ek ki tawojah aur rohaniyat ek si nahi hoti.lekin es amal say aapko hamzad ka ahsas milaega zaroor.

jab hamzad manoos ho jaega to aap koi kam karnay ka irada karaengay to wo kam ho jaega ya phir uskay asbab bananay lagaengay.

mainay upar likha hain ye amal mujarrib hain.ye ek bhai nay kiya hain aur uska kam chalta hain es amal say aur wo bol rahay hain usko kamyabi 6 mah bad mili hain.mumkin hain aapko ek mah ya teen mah may bhi mil jaen.esmay koi khas mahnat ya rupay paisay to nahi lagtay hain to aap ko zaroor karna chahiye.bagair kisi lalach k kiyu k lalachi k pas kamyabi nahi hogi.

wo bhai batatay hain ki main kisi say mulakat ka irada rakhta hu to wo shakhs ya uska phone samnay say aajata hain. aesay kai kam ho jatay  hain.aur uskay mutabiq uski garhi ek martba rastay main kharab ho gayi aur kai bar koshish k bawajood shuru nahi ho rahi thi.mainay hamzad say bola esko sahih kardo aur phir mainay koshish ki to fauran kharab garhi shuru hui aur main apnay manzil tak ba aasani pahoch gaya.hamzad Allah ki ata karda quwwat hain aur eska hamay estemal aana chahiye to ham apni zindagi may aasaniya paida kar saktay hain.

es amal k liye koi khas ijazat ya parhez ki zaroorat nahi.na koi rijjat ya nuqsan ka dar hain.jo bhi sharifun nafs  chahay aajmaye.kamayab hoga hi.

Rohani Amliyat Course: Jo Hazraat Rohani Amliyat Course Karna Chahtay Hain Wo Apni DeTail Name Birthdate City Country mail id aur facebook id send karay. Paid course hain. Course me Rohaniyat, Sharaeet w qawaneen e amaliyat w Chilla zakwat,ilm ul huroof,ilmul aadad ilmul najoom,ilmul jafar , ilmul asma,haziraat,taskheer,tashkhees w elaj amraz sikhaya jata hain. haziraat92@gmail.com facebook.com/amil.samarali

Read more: https://rohaniamliat.blogspot.com/#ixzz8hdbJVa5h

TILISMI ANGOOTHI AUR DIGAR ROHANI ITEMS K LIYE MERAY ES BLOG KI VISIT ZAROOR KARAY...

https://spiritualawarestore.blogspot.com/

Thursday, May 12, 2022

BATNI MUAKKIL KI TASKHEER KA EK MUJARRIB AMAL :

 


ye amal bahot aasan hain aur eska tajorba bhi ho chuka hain.kiyu k ye amal

mainay ek rishtedar bhai ko diya tha.jo dusray state may rahtay hain

aur wo ek barhi  shop k owner hain aur hamaray rishtedar bhi hotay hain.

namaz zikr o azqar k paband hain aur shariful nafs bhi.

kuch dino pahlay wo milnay aaye aur kafi der baithay par

unkay munh say apna mas'ala bayan nahi kar pa rahay thay yahan ki wahan ki

kaafi der bat ki phir himmat say wo bolay ki main aapsay milnay ek khas bat ko

lay kar aaya hun.mainay batanay k liye kahan to unhonay bataya ki unki beti ko

padosh may rahta huva ek larhka bahot parayshan karta hain.aur wo log bahot

hi gunday qism k hain to ham police ki madad nahi lay saktay hain aur esi sabb

meri bachi ko mainay apnay saalay k yahan bhej diya hain.kiya eska koi hal wird

wazaef say mujay bata saktay hain.? jab usnay ye bat batayi to wo bahot hi

parayshani k aalam may bata rahay thay.waisay main kisi ko aesay aamal nahi

batata hun lekin jab paani had say guzar jaen to kiya kiya jaen..?

mainay unko bataya ki aap yun karay rozana fajr ki namaz k bad 41 martba

Surah e Nooh parhay aur aakhir may es zalim say chhutkaray ki dua Allah

ki bargah may maanga karay.

aur digar jo sharaet vigaera thi wo bhi bata di gayi.jab usnay shuru kiya

to bhi call aayi aur bich may bhi wo batatay rahay ki wird jari hain koi khas

asar nazar nahi aaraha.mainay kahan ki aapko ye wazifa 21 din tak jari rakhna

hain kuch faeda nazar aaen ya na aaen.

karib 17ve roz unka fone aaya aur wo bahot daray huvay thay wo bolay ki

main subah ghar par hi namaz e fajr parh raha hun es wazifay k sabb aur jab

wazifa parh kar dua mang raha tha to mujay laga ki meray kamray may koi

hain jab mainay pichay mud kar dekha to koi sufaid libas may lambay kad ka

aadmi tha main dar gaya aur dhadkan tez ho gayi aur main kuch bolu ya samju

ussay pahlay meri peeth par us admi nay ek zordar mukka[punch] mardiya

aur main gir pada aur hosh na raha.

jab gir gaya to mujay khwab sa nazar aaya aur wo bolay main ek truck chala

kar ja raha hun aur ek mod par wo hi larhka mujay motorcicle chala kar aata

dikha aur mainay gussay may truck ko uski motorcycle par charha diya aur

uska accident ho gaya aur wo khoon say lathpath ho gaya mainay itna dekha to

main jatkay say jaag gaya.aur dekha to wohi kamray may maujood hu jahan

par main wazifa parh raha tha.main ye tay nahi kar raha tha jo mujay mahsoos

huva wo haqiqat may huva bhi tha ya khwab tha yani jo mujay kisi ka marna

vigera.

Wo bolay ki jo larhka uski larhki ko parayshan karta tha uska accident huva

aur uska left pair kut gaya hain.aur usko abhi hospital may rakha huva hain.

mainay bola ki kiya aap eskay liye aesi dua mang rahay thay ki uskay sath aesa

ho jaen? To wo bolay ha mainay to ye hi dua mangi thi ki wo mar jaen kiyu k

ham sharifo ka jina haram kar rakha tha us larhkay nay aur meri beti ki bhi

zindagi kharab kar rakhi thi.abhi meri beti kai dino say hamaray khud k ghar

hi nahi aapayi hain.wo dhamkiya deta tha.uskay bap say shikayat ki to bola ki

ham ek hi mazhab k hain meray betay say shadi kardo.? Mainay bola hamari

beti nahi karna chahti aur umr bhi choti hain beti ki usko parhna likhna hain

lekin wo zalim nahi man raha tha ulta dhamkiya denay laga.to mainay ye hi

dua mangi taki Allah es musibat ko daemi ham say dur karday.

Mainay afsos jatatay huvay bola ki nahi aesi dua nahi karni thi.kiyu k ye quran

ka galat estemal huva.aap ko jaisay mainay bataya tha waisay hi karna tha.jo

bataya tha wo hi dua karni thi to bhi aap usko nuqsan pahochaye bina

chhutkara hasil kar saktay thay.usko saja zaroor milti magar itni sakht nahi

milti aur wo aapka rasht bhi bhul jata.khair mainay bola ki aap kuch anaj ka

sadqa khud k nam say kar dijyega aur Allah say muafi bhi talab karna.aur baki

k din hain wo shukriya k taur par parh kar mukammal kar lijyega.

Wo bolay ki usko dar lagta hain ki kahin unlogo ko kuch shaq na ho jaen ki

mainay kuch kiya ho ? mainay kaha aap aesa khyal hi kiiyu latay hain.

insha Allah kuch nahi hoga.

Kuch din bad dubara unka phone aaya ki unhonay 21 din complet kar liya hain.

lekin usko khwab main koi sufaid poshak buzurg nazar aatay hain aur alag alag

jagah par lejatay hain jaisay mazarat ho ya koi kabar ho.aur kabhi kabhi kisi

ahl e mazar say bhi mulakat khwab may karatay hain.wo bolay main kiya es

surah ko daemi parhta rahu.to mainay ha boli hain aur wo bolay eskay kai kam

ho rahay hain.khas kar koi usko taklif pahochata hain to usko taklif ho jati

hain vigera.

*ab unki larhki wapis aagayi hain aur bolay sukh chain say rah rahay hain.

lekin wo bol rahay hain shehar tabdil karna hain.kiyu k unkay dil say darr nahi

ja raha hain..!

Khair ye to Allah ki atta hain.qalam e elahi ka faizan hain ki unkay qalam say

har ek masael ka hal ho sakta hain.

Aap bhi agar es tarha muakkil say faeda hasil karna chahay to rozana 41

martba waqt muqrrar par parha karay 21 din tak phir rozana ek martba parha

karay.dauran e parhayi k ayyam may koi badbudar ashya gosht anda machli

ka estemal na kiya jaen.

Phir jab bhi koi kam ho tanhayi may 1 martba parh kar dua karay

insha Allah chand din aesa karnay say aapka kam ho jaega aur ye

batni muakilat ka amal hain.aapki nafs ki paaki par hain wo chahay to essay

bhi ziada nawazday.


Rohani Amliyat Course: Jo Hazraat Rohani Amliyat Course Karna Chahtay Hain Wo Apni DeTail Name Birthdate City Country mail id aur facebook id send karay. Paid course hain. Course me Rohaniyat, Sharaeet w qawaneen e amaliyat w Chilla zakwat,ilm ul huroof,ilmul aadad ilmul najoom,ilmul jafar , ilmul asma,haziraat,taskheer,tashkhees w elaj amraz sikhaya jata hain. haziraat92@gmail.com facebook.com/amil.samarali

Read more: https://rohaniamliat.blogspot.com